Sunday, 5 February 2017

Fitoor Shayari

Fitoor

Meher e hasin nazro me nur abhi hai
Kuch pal ki mohobbat ka gurur abhi hai.
Halki si laali me nam. aankhe chupate hai
Awaaz me fir bhi wo surur abhi hai
Wo lete hai khud ki tasweer khudsehi (Selfie) :)
Kya pata unko unka tasawur yahi hai
Pyaari si baatein wo hasi khushnuma si
chalo maana jannat ki huur wahi haii
wo massomiyat na dekhi kai waqt gujre
dekhe kabhi unko wo chashmebadoor wahi hai
burai ki baaten bohot si hui ab
ishq me gote khaneki jarur abhi hai
dil tera bhi aksar kahi  kehta yahi hai
kuch pal hi saath dede kyu duur abhi hai
kai saase abhi teri aah bharti hai
ke teri mohobbat ka fitoor abhi hai


Khubsurat

Wo halki chehek wo, bewaqt ruth jana 
choti choti baaton me wo harkat dikhana
Na wo apsara thi na wo koi paree thi
fir bhi kisise wo kam bhi nahi thi
juthi thi kabhi par fir bhi thi pyari
wohi hasi thi jo duniya hamari
Haseen thi wo ghadiya kuch khass tha unme
pagal se dhunde ham khudko hi khudme
chalaak thi wo badi tej thi wo
mohobbat hai ye sachi koi kahe jake unko
chashmo ke peeche kyu aankhe chupai
sabse khaas hai unme aur wohi na dikhaai
zulfo ka ye daayra jara kam to karle
khushbu ye mosam ki dilme tu bharle 


Kashmakash

Gussa unhipe aur pyaar bhi unhipe
Mohobat me kya kare haar rang dikh jate hai
Gunahgar bhi wo aur massom bhi wo
kashmakash hai har pal khyal badal jate hai
ishq hai to kyu tune chupake rakha hai
dabake rakhne se armaan bhi dard ban jate hai
saath bhi mushkil kyu duri nagawara
rehe rehe ke ashq wo fir fir se chale aate hai
har ek aaadon se kayal sa karke
ummeede dafan karke aise hi chale jate hai
kuch itna to dil hamne bhi diya tha tumko
thoda aur ke kabil to khudko samaj pate hai
Ishq jara sa bhi kam na hua hai
halat hai badle jo ham na badal pate hai
aas bas saari ab tujpe tikki hai
bus tuhi hame samje bhale koi na samaj pate hai